mila hai apne hone ka nishan ek
milā hai apne hone kā nishāñ ik
sunī sadiyoñ purānī dāstāñ ik
hamārī soch to miltī hai kitnī
magar kyuuñ kar nahīñ apnī zabāñ ik
mirā har ik yaqīñ jhuTlā rahā hai
vo jo mujh meñ makīñ hai bad-gumāñ ik
hue haiñ be-ma.ānī bāl-o-par ab
milā nīche zamīñ ke āsmāñ ik
bure logoñ se milvātā hai mujh ko
jatātā hai vahī achchhā yahāñ ik
merī chup se bhī vo jhuñjhlā rahā hai
ḳhamoshī kī bhī hotī hai zabāñ ik
ḳhudā ko bhī rakheñge dastaras meñ
zamīñ par vo banā ke āsmāñ ik
na tere ho sake ham nā hī apne
rahī aadhī adhūrī dāstāñ ik
mila hai apne hone ka nishan ek
suni sadiyon purani dastan ek
hamari soch to milti hai kitni
magar kyun kar nahin apni zaban ek
mera har ek yaqin jhuTla raha hai
wo jo mujh mein makin hai bad-guman ek
hue hain be-maani baal-o-par ab
mila niche zamin ke aasman ek
bure logon se milwata hai mujh ko
jatata hai wahi achchha yahan ek
meri chup se bhi wo jhunjhla raha hai
KHamoshi ki bhi hoti hai zaban ek
KHuda ko bhi rakhenge dastaras mein
zamin par wo bana ke aasman ek
na tere ho sake hum na hi apne
rahi aadhi adhuri dastan ek
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.