mila hai dil hamein dilbar ki aarzu ke liye
Interesting Fact
(25th December, 1958) (In the memory of Sail Dehlvi)
milā hai dil hameñ dilbar kī aarzū ke liye
zabāñ milī hai mohabbat kī guftugū ke liye
tujhe haram meñ kalīsā meñ dair meñ DhūñDhā
kahāñ kahāñ na uThe paañv justujū ke liye
tum aa ga.e to na ham tum se kah sake kuchh bhī
magar zabān banī aañkh guftugū ke liye
pasand aap ko apne liye jo ho na sulūk
na bhuul kar bhī gavārā kareñ adū ke liye
kabhī ba-pās-e-adab aañkh bhī nahīñ uThtī
kabhī zabān taḌaptī hai guftugū ke liye
kisī kī aañkh meñ aañsū bhī ab nahīñ aate
ye buḳhl vo bhī faqat buuñd bhar lahū ke liye
janāb-o-āp mubārak mire harīfoñ ko
mujhe to tū ne muḳhātab kiyā hai tū ke liye
jigar ke chaak salāmat raheñ qayāmat tak
kabhī ye chaak machalte nahīñ rafū ke liye
ḳhayāl aa.e bashar ko jo be-sabātī kā
jiye zarā bhī na duniyā-e-rañg-o-bū ke liye
diyā thā jis ne kabhī izn-e-mai-kashī saaqī
vo bad-nasīb taḌaptā hai ik subū ke liye
na mar gayā ho agar terī aañkh kā paanī
to chand buuñd hameñ bhī mileñ vuzū ke liye
jinheñ ḳhabar nahīñ kahte haiñ aabrū kis ko
vo jaan deñge bhalā hifz-e-ābrū ke liye
mushāhidāt basīrat nahīñ to kuchh bhī nahīñ
nazar bhī chāhiye chashm-e-nazāra-jū ke liye
zabān khul na sakī un ke rū-ba-rū 'tālib'
ki ḳhāmushī bhī zarūrī thī guftugū ke liye
mila hai dil hamein dilbar ki aarzu ke liye
zaban mili hai mohabbat ki guftugu ke liye
tujhe haram mein kalisa mein dair mein DhunDha
kahan kahan na uThe panw justuju ke liye
tum aa gae to na hum tum se kah sake kuchh bhi
magar zaban bani aankh guftugu ke liye
pasand aap ko apne liye jo ho na suluk
na bhul kar bhi gawara karen adu ke liye
kabhi ba-pas-e-adab aankh bhi nahin uThti
kabhi zaban taDapti hai guftugu ke liye
kisi ki aankh mein aansu bhi ab nahin aate
ye buKHl wo bhi faqat bund bhar lahu ke liye
janab-o-ap mubarak mere harifon ko
mujhe to tu ne muKHatab kiya hai tu ke liye
jigar ke chaak salamat rahen qayamat tak
kabhi ye chaak machalte nahin rafu ke liye
KHayal aae bashar ko jo be-sabaati ka
jiye zara bhi na duniya-e-rang-o-bu ke liye
diya tha jis ne kabhi izn-e-mai-kashi saqi
wo bad-nasib taDapta hai ek subu ke liye
na mar gaya ho agar teri aankh ka pani
to chand bund hamein bhi milen wuzu ke liye
jinhen KHabar nahin kahte hain aabru kis ko
wo jaan denge bhala hifz-e-abru ke liye
mushahidat basirat nahin to kuchh bhi nahin
nazar bhi chahiye chashm-e-nazara-ju ke liye
zaban khul na saki un ke ru-ba-ru 'talib'
ki KHamushi bhi zaruri thi guftugu ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.