mila hai jab bhi wo mujhse to ajnabi ki tarah
milā hai jab bhī vo mujh se to ajnabī kī tarah
kabhī kisī kī tarah aur kabhī kisī kī tarah
jo apnī zaat se niklā hai āgahī kī tarah
vo āsmān pe chamkā hai raushnī kī tarah
bahār-o-nik.hat-e-gul DhūñDte ho gulshan meñ
fareb-ḳhurda ho tum bīsvīñ sadī kī tarah
bisāt-e-zīst lapeTo ki maat khaa.e ho
mare na maut koī aisī zindagī kī tarah
is ehtimām se kahiye agar ġhazal kahiye
ki koī husn nahīñ husn-e-sādgī kī tarah
mila hai jab bhi wo mujh se to ajnabi ki tarah
kabhi kisi ki tarah aur kabhi kisi ki tarah
jo apni zat se nikla hai aagahi ki tarah
wo aasman pe chamka hai raushni ki tarah
bahaar-o-nikhat-e-gul DhunDte ho gulshan mein
fareb-KHurda ho tum biswin sadi ki tarah
bisat-e-zist lapeTo ki mat khae ho
mare na maut koi aisi zindagi ki tarah
is ehtimam se kahiye agar ghazal kahiye
ki koi husn nahin husn-e-sadgi ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.