mila hai kaisa tere eatibar ka mausam
milā hai kaisā tire e.atibār kā mausam
ki jaise chāroñ taraf hai bahār kā mausam
utartī jaatī haiñ khetoñ meñ yaad kī chiḌiyāñ
nikhar rahā hai mire sabza-zār kā mausam
kuchh aise mauj-e-sabā ne chhuā hai gāloñ ko
ki dil meñ khilne lagā barg-o-bār kā mausam
na.ī rutoñ meñ maleñge usī jagah ham tum
sañbhāl rakhnā mire yaar pyaar kā mausam
nikhartī dhuup thī ujle the mere shām-o-sahar
kahāñ se aaya hai gard-o-ġhubār kā mausam
abhī to ujlā hai āñgan gulāb taaza haiñ
guzar hī jaa.e na qaul-o-qarār kā mausam
kuchh aur koñpleñ phūTeñgī phuul ā.eñge
nayā nayā hai abhī shāḳh-sār kā mausam
har ek shāḳh pe chāñdī hai khil rahī ehsān
guloñ pe aayā hai sola-siñghār kā mausam
mila hai kaisa tere eatibar ka mausam
ki jaise chaaron taraf hai bahaar ka mausam
utarti jati hain kheton mein yaad ki chiDiyan
nikhar raha hai mere sabza-zar ka mausam
kuchh aise mauj-e-saba ne chhua hai galon ko
ki dil mein khilne laga barg-o-bar ka mausam
nai ruton mein malenge usi jagah hum tum
sanbhaal rakhna mere yar pyar ka mausam
nikharti dhup thi ujle the mere sham-o-sahar
kahan se aaya hai gard-o-ghubar ka mausam
abhi to ujla hai aangan gulab taza hain
guzar hi jae na qaul-o-qarar ka mausam
kuchh aur konplen phuTengi phul aaenge
naya naya hai abhi shaKH-sar ka mausam
har ek shaKH pe chandi hai khil rahi ehsan
gulon pe aaya hai sola-singhaar ka mausam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.