mila hai yunhi nahin mujhko intihai dukh
mila hai yunhi nahin mujhko intihai dukh
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
milā hai yūñhī nahīñ mujh ko intihā.ī dukh
maiñ joḌtā rahā ik umr pā.ī-pā.ī dukh
ta'alluqāt mire aur dukh ke aise haiñ
samajhiye maiñ koī dariyā huuñ aur kaa.ī dukh
mujhe harāne meñ āḳhir tū kāmyāb huā
mirī bhī or se tujh ko bahut badhā.ī dukh
ḳhushī ko chupke se āvāz de ke aa jā.ūñ
zarā sī der ko de de agar rihā.ī dukh
maiñ ḳhalvatoñ meñ pakaḌtā huuñ jab ġhazal kī raah
baḌe salīqe se kartā hai rahnumā.ī dukh
mire firāq meñ rotī hai ek shoḳh-badan
ye dukh zarūr hai lekin hai dilrubā.ī dukh
to phir vo aañkh hai ādāb-e-dīd se mahrūm
hañsī ke pīchhe kā jis ko na de dikhā.ī dukh
mila hai yunhi nahin mujh ko intihai dukh
main joDta raha ek umr pai-pai dukh
ta'alluqat mere aur dukh ke aise hain
samajhiye main koi dariya hun aur kai dukh
mujhe harane mein aaKHir tu kaamyab hua
meri bhi or se tujh ko bahut badhai dukh
KHushi ko chupke se aawaz de ke aa jaun
zara si der ko de de agar rihai dukh
main KHalwaton mein pakaDta hun jab ghazal ki rah
baDe saliqe se karta hai rahnumai dukh
mere firaq mein roti hai ek shoKH-badan
ye dukh zarur hai lekin hai dilrubai dukh
to phir wo aankh hai aadab-e-did se mahrum
hansi ke pichhe ka jis ko na de dikhai dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.