mila hua kabhi sine se un ke sina tha
milā huā kabhī siine se un ke siina thā
ajab vo roz the yā-rab ajab mahīna thā
adam meñ jā ke kaheñge har ek se ham bhī
abas fuzūl jahāñ meñ hamārā jiinā thā
daġhā raqīb ne kī aap se to kyā shikva
zamāna us ko kahegā ki vo kamīna thā
ye kyā ki yūñhī chale mai-kade se hazrat-e-shaiḳh
tumheñ ḳhudā kī qasam koī ghūñT piinā thā
jo tum ne siina mirā chāk-chāk kar Daalā
har ek zaḳhm ko tār-e-nigah se siinā thā
mahak rahā thā mirā ghar tamām vasl kī shab
vo itr-bez kisī kā bhī kyā pasīnā thā
nahīñ hai dil jo hamārā to shab ko mahfil meñ
zarā ḳhayāl karo ḳhud hī kis ne chhīnā thā
jo tum ne lete hī jaldī se us ko toḌ diyā
hamārā dil thā koī yā ye ābgīna thā
vo rind huuñ ki zabāñ par bhī vaqt-e-marg mirī
surāhī-o-ḳhum-o-jām-o-ayāġh-o-mīnā thā
yahāñ rahī ki vahāñ pahūñchī 'ranj' kī mayyat
zabāñ pe us kī magar rāt-din madīna thā
mila hua kabhi sine se un ke sina tha
ajab wo roz the ya-rab ajab mahina tha
adam mein ja ke kahenge har ek se hum bhi
abas fuzul jahan mein hamara jina tha
dagha raqib ne ki aap se to kya shikwa
zamana us ko kahega ki wo kamina tha
ye kya ki yunhi chale mai-kade se hazrat-e-shaiKH
tumhein KHuda ki qasam koi ghunT pina tha
jo tum ne sina mera chaak-chaak kar Dala
har ek zaKHm ko tar-e-nigah se sina tha
mahak raha tha mera ghar tamam wasl ki shab
wo itr-bez kisi ka bhi kya pasina tha
nahin hai dil jo hamara to shab ko mahfil mein
zara KHayal karo KHud hi kis ne chhina tha
jo tum ne lete hi jaldi se us ko toD diya
hamara dil tha koi ya ye aabgina tha
wo rind hun ki zaban par bhi waqt-e-marg meri
surahi-o-KHum-o-jam-o-ayagh-o-mina tha
yahan rahi ki wahan pahunchi 'ranj' ki mayyat
zaban pe us ki magar raat-din madina tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.