mila ke aankh kabhi be-qarar hone do
milā ke aañkh kabhī be-qarār hone do
mujhe bhī lams-e-nazar kā shikār hone do
ḳhizāñ ke daur meñ bijlī girā ke kyā hāsil
ruko chaman meñ zarā sī bahār hone do
tamām 'umr kaTī āgahī ke ghere meñ
baḌī thakan hai zarā sā ḳhumār hone do
abhī se ḳhvāb meñ aane kī iltijā na karo
mujhe bhī niiñd ke rath par savār hone do
vo jis ne maar diyā 'pushp' āhu-e-ummīd
usī shikārī ko ab ke shikār hone do
mila ke aankh kabhi be-qarar hone do
mujhe bhi lams-e-nazar ka shikar hone do
KHizan ke daur mein bijli gira ke kya hasil
ruko chaman mein zara si bahaar hone do
tamam 'umr kaTi aagahi ke ghere mein
baDi thakan hai zara sa KHumar hone do
abhi se KHwab mein aane ki iltija na karo
mujhe bhi nind ke rath par sawar hone do
wo jis ne mar diya 'pushp' aahu-e-ummid
usi shikari ko ab ke shikar hone do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.