Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mila ke hath dilon mein kashidgi rakhna

Sabir Naseerabadi

mila ke hath dilon mein kashidgi rakhna

Sabir Naseerabadi

MORE BYSabir Naseerabadi

    milā ke haath diloñ meñ kashīdgī rakhnā

    kahāñ zarf hai chāhat meñ dushmanī rakhnā

    maiñ DhūñD lūñgā añdheroñ meñ rāsta apnā

    tum apne ghar ke darīche meñ raushnī rakhnā

    pighal na jaa.e kahīñ lams harārat se

    tum aa.ine ko zarā ḳhud se duur rakhnā

    tumheñ qasam hai mire e'tibār ḳhātir

    milo kisī se to lahje meñ tāzgī rakhnā

    mire dukhoñ ko samajhnā muhāl hai 'sābir'

    ki maiñ ne siikh liyā zer-e-lab hañsī rakhnā

    mila ke hath dilon mein kashidgi rakhna

    kahan ka zarf hai chahat mein dushmani rakhna

    main DhunD lunga andheron mein rasta apna

    tum apne ghar ke dariche mein raushni rakhna

    pighal na jae kahin lams ki hararat se

    tum aaine ko zara KHud se dur hi rakhna

    tumhein qasam hai mere e'tibar ki KHatir

    milo kisi se to lahje mein tazgi rakhna

    mere dukhon ko samajhna muhaal hai 'sabir'

    ki main ne sikh liya zer-e-lab hansi rakhna

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now