mila ke honTon ke zahrab aabginon mein
milā ke hoñToñ ke zahrāb ābgīnoñ meñ
ye kis ne aag sī bhar dī hamāre sīnoñ meñ
ab is ke baa'd koī chehra dekhnā hī nahīñ
ham apnī āñkheñ bhī chhoḌ aa.e mah-jabīnoñ meñ
kisī kī āñkhoñ meñ jhāñkūñ to apnā aks mile
ab aise log kahāñ haiñ tamāsh-bīnoñ meñ
unhīñ ke talvoñ se kāñTe lahū nasīb hue
jo chāñd bote rahe umr bhar zamīnoñ meñ
halāl rizq kabhī rā.egāñ nahīñ jaatā
ki chyūñTiyāñ kabhī lagtīñ nahīñ pasīnoñ meñ
tabassumoñ se hī kaam us kā chal gayā varna
chhupā ke laayā thā ḳhanjar bhī āstīnoñ meñ
na jaane kaun sī kashtī meñ jā ke baiTh gayā
duā-e-māñ mutalāshī rahī safīnoñ meñ
in ūñche logoñ meñ 'anvar' kabhī nahīñ miltā
jo ilm-o-fan hai chhupā boriyā-nashīnoñ meñ
mila ke honTon ke zahrab aabginon mein
ye kis ne aag si bhar di hamare sinon mein
ab is ke ba'd koi chehra dekhna hi nahin
hum apni aankhen bhi chhoD aae mah-jabinon mein
kisi ki aankhon mein jhankun to apna aks mile
ab aise log kahan hain tamash-binon mein
unhin ke talwon se kanTe lahu nasib hue
jo chand bote rahe umr bhar zaminon mein
halal rizq kabhi raegan nahin jata
ki chyunTiyan kabhi lagtin nahin pasinon mein
tabassumon se hi kaam us ka chal gaya warna
chhupa ke laya tha KHanjar bhi aastinon mein
na jaane kaun si kashti mein ja ke baiTh gaya
dua-e-man mutalashi rahi safinon mein
in unche logon mein 'anwar' kabhi nahin milta
jo ilm-o-fan hai chhupa boriya-nashinon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.