mila kisi se na achchha laga suKHan is bar
milā kisī se na achchhā lagā suḳhan is baar
banā hai lāshoñ ke a.azā se ye badan is baar
sunā hai tīnoñ ruteñ saath saath ā.eñgī
qamīs Daal ke niklūñ khule baTan is baar
havā kī maut se Dole na qatl-e-āb se ham
tamām chīzoñ pe bhārī paḌī thakan is baar
bahut se shahr bahut sī fazā bahut se log
magar hai sab meñ koī bū koī saḌan is baar
chhupā.ūñ ruuh ko kyuuñ tan se tan ko kapḌoñ se
utaar kyuuñ na chalūñ saare pairahan is baar
ḳhalā kī aag to 'tafzīl' ne bujhā.ī magar
zamīñ pe vo nahīñ girtā hai carbon is baar
mila kisi se na achchha laga suKHan is bar
bana hai lashon ke aaza se ye badan is bar
suna hai tinon ruten sath sath aaengi
qamis Dal ke niklun khule baTan is bar
hawa ki maut se Dole na qatl-e-ab se hum
tamam chizon pe bhaari paDi thakan is bar
bahut se shahr bahut si faza bahut se log
magar hai sab mein koi bu koi saDan is bar
chhupaun ruh ko kyun tan se tan ko kapDon se
utar kyun na chalun sare pairahan is bar
KHala ki aag to 'tafzil' ne bujhai magar
zamin pe wo nahin girta hai carbon is bar
- Book : Teksaal (Pg. 229)
- Author : Tafzeel Ahmad
- Publication : kasauti Publication (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.