mila mila ke nazar muskurae jate hain
milā milā ke nazar muskurā.e jaate haiñ
vo chashm-e-mast kā jaadū jagā.e jaate haiñ
ham apnī mashq-e-tasavvur kī dast-gīrī se
naqāb ruḳh se kisī ke uThā.e jaate haiñ
raqīb kyā sitam-e-nā-ravā ki sah na sake
kisī kī bazm meñ ham kyoñ bulā.e jaate haiñ
kisī ke naaz kī tasvīr khiñchtī jaatī hai
sar-e-niyāz ham apnā jhukā.e jaate haiñ
vo bhūle jaate haiñ tarz-e-jafā-e-be-jā ko
ham apnā zor-e-vafā āzmā.e jaate haiñ
hamārā qissa hamārā samajh ke kab sunte
badal ke naam ham un ko sunā.e jaate haiñ
vo apne tazkira-e-husn se haiñ ḳhush 'bedil'
unheñ ġhazal pe ġhazal ham sunā.e jaate haiñ
mila mila ke nazar muskurae jate hain
wo chashm-e-mast ka jadu jagae jate hain
hum apni mashq-e-tasawwur ki dast-giri se
naqab ruKH se kisi ke uThae jate hain
raqib kya sitam-e-na-rawa ki sah na sake
kisi ki bazm mein hum kyon bulae jate hain
kisi ke naz ki taswir khinchti jati hai
sar-e-niyaz hum apna jhukae jate hain
wo bhule jate hain tarz-e-jafa-e-be-ja ko
hum apna zor-e-wafa aazmae jate hain
hamara qissa hamara samajh ke kab sunte
badal ke nam hum un ko sunae jate hain
wo apne tazkira-e-husn se hain KHush 'bedil'
unhen ghazal pe ghazal hum sunae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.