mila mujhse wo itni be-ruKHi se
milā mujh se vo itnī be-ruḳhī se
ki jaise ajnabī ik ajnabī se
mazammat sirf vo karte haiñ us kī
nahīñ vāqif jo ramz-e-āshiqī se
sar-e-fihrist haiñ ahl-e-ḳhirad kī
jinheñ nisbat nahīñ kuchh āgahī se
jo thā taqdīr meñ vo pesh aaya
shikāyat kyā karūñ ab maiñ kisī se
sunānā chāhtā huuñ dil kī bāteñ
magar Dartā huuñ un kī barhamī se
ġhubār-e-rāh se kah do ki chhaT jaa.e
nahīñ vāqif ye qais-e-āmirī se
yahāñ jab sair ko bhī ho sivāyā
to phir kam ḳhud ko kyoñ samjhūñ kisī se
samajhtā hai vahī rozī-rasāñ hai
tavaqqo aur kyā ho aadmī se
musībat meñ nahīñ koī kisī kā
milā 'ḳhāvar' sabaq ye dostī se
mila mujh se wo itni be-ruKHi se
ki jaise ajnabi ek ajnabi se
mazammat sirf wo karte hain us ki
nahin waqif jo ramz-e-ashiqi se
sar-e-fihrist hain ahl-e-KHirad ki
jinhen nisbat nahin kuchh aagahi se
jo tha taqdir mein wo pesh aaya
shikayat kya karun ab main kisi se
sunana chahta hun dil ki baaten
magar Darta hun un ki barhami se
ghubar-e-rah se kah do ki chhaT jae
nahin waqif ye qais-e-amiri se
yahan jab sair ko bhi ho siwaya
to phir kam KHud ko kyon samjhun kisi se
samajhta hai wahi rozi-rasan hai
tawaqqo aur kya ho aadmi se
musibat mein nahin koi kisi ka
mila 'KHawar' sabaq ye dosti se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.