mila na ek bhi qatra sharab dharti par
milā na ek bhī qatra sharāb dhartī par
maiñ chīḳhtā hī rahā aab aab dhartī par
yahī to ġham hai ki apne kisī bhī maqsad meñ
maiñ ho sakā na kabhī kāmyāb dhartī par
maiñ āsmān kā TuuTā huā sitāra huuñ
sajā.ūñ kaise koī rangīñ ḳhvāb dhartī par
ḳhudā ke vāste logoñ pe kuchh taras khaao
lahū bahāo na tum be-hisāb dhartī par
mirī sadāoñ ko kab tak dabāoge 'dānish'
kabhī to lā.eñgī ye inqalāb dhartī par
mila na ek bhi qatra sharab dharti par
main chiKHta hi raha aab aab dharti par
yahi to gham hai ki apne kisi bhi maqsad mein
main ho saka na kabhi kaamyab dharti par
main aasman ka TuTa hua sitara hun
sajaun kaise koi rangin KHwab dharti par
KHuda ke waste logon pe kuchh taras khao
lahu bahao na tum be-hisab dharti par
meri sadaon ko kab tak dabaoge 'danish'
kabhi to laengi ye inqalab dharti par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.