mila na kaun-o-makan mein to la-makan dekha
milā na kaun-o-makāñ meñ to lā-makāñ dekhā
par us ko dekhā na us kā koī nishāñ dekhā
jo us meñ dekhā pareshān-o-ḳhasta-jāñ dekhā
zamīn-e-kūcha-e-qātil ko āsmāñ dekhā
jab apne dil meñ tirā jalva zau-fishāñ dekhā
na us meñ phir ġham-e-duniyā ko mehmāñ dekhā
har ashk-e-chashm ko to dil kā tarjumāñ dekhā
dam-e-ġharīb ko hī dil kā rāz-dāñ dekhā
uruuj husn ko hāsil hai ishq ke dam se
jahāñ meñ ishq kā phir bhī na qadr-dāñ dekhā
dil-āzmā hai zi-bas ishq kā zamāna bhī
qadam qadam pe mohabbat meñ imtihāñ dekhā
shagufta haiñ gul-e-zaḳhm-e-jigar ḳhizāñ meñ bhī
sadā-bahār khilā dil kā bostāñ dekhā
vo tinke nazr hue barq-o-bād-e-sarsar ke
asiir jab se hue phir na āshiyāñ dekhā
hai dafn jo tirī tasvīr-e-be-kasī 'jauhar'
tire mazār pe hasrat ko nauha-ḳhvāñ dekhā
mila na kaun-o-makan mein to la-makan dekha
par us ko dekha na us ka koi nishan dekha
jo us mein dekha pareshan-o-KHasta-jaan dekha
zamin-e-kucha-e-qatil ko aasman dekha
jab apne dil mein tera jalwa zau-fishan dekha
na us mein phir gham-e-duniya ko mehman dekha
har ashk-e-chashm ko to dil ka tarjuman dekha
dam-e-gharib ko hi dil ka raaz-dan dekha
uruj husn ko hasil hai ishq ke dam se
jahan mein ishq ka phir bhi na qadr-dan dekha
dil-azma hai zi-bas ishq ka zamana bhi
qadam qadam pe mohabbat mein imtihan dekha
shagufta hain gul-e-zaKHm-e-jigar KHizan mein bhi
sada-bahaar khila dil ka bostan dekha
wo tinke nazr hue barq-o-baad-e-sarsar ke
asir jab se hue phir na aashiyan dekha
hai dafn jo teri taswir-e-be-kasi 'jauhar'
tere mazar pe hasrat ko nauha-KHwan dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.