mila wo shaKHs magar arsa-e-bahaar ke baad
milā vo shaḳhs magar arsa-e-bahār ke baad
hazār chāñd sitāroñ ke intizār ke baad
zamīñ pe phuul khile haiñ to kis zamāne meñ
mohabbatoñ se mahakte hue dayār ke baad
tirī talāsh meñ nikle haiñ laakh dīvāne
baḌe azaab baḌe zulm-o-intishār ke baad
hazār ahl-e-tamannā se ham-kalām rahā
magar milī na tasallī sukūt-e-yār ke baad
hamārā haal to us se kahe koī jā kar
ki intizār hai us kā har intizār ke baad
charāġh-e-lāla-o-gul haiñ ki haiñ bahut raushan
vahī bahār hai har mausam-e-bahār ke baad
mila wo shaKHs magar arsa-e-bahaar ke baad
hazar chand sitaron ke intizar ke baad
zamin pe phul khile hain to kis zamane mein
mohabbaton se mahakte hue dayar ke baad
teri talash mein nikle hain lakh diwane
baDe azab baDe zulm-o-intishaar ke baad
hazar ahl-e-tamanna se ham-kalam raha
magar mili na tasalli sukut-e-yar ke baad
hamara haal to us se kahe koi ja kar
ki intizar hai us ka har intizar ke baad
charagh-e-lala-o-gul hain ki hain bahut raushan
wahi bahaar hai har mausam-e-bahaar ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.