milao us se ke jis ka usul ho mujh sa
milāo us se ke jis kā usuul ho mujh sā
agar na aisā mile to juhūl ho mujh sā
sabhī se mil lo zamāne meñ DhūñD lo lekin
nahīñ milegā chaman meñ jo phuul ho mujh sā
mizāj miltā nahīñ ab kisī se merā yahāñ
ḳhudā nuzūl kare jo malūl ho mujh sā
mujhe girā ke nazar se tumheñ lagā hogā
nahīñ hai koī yahāñ jo fuzūl ho mujh sā
hasīn lagte the jin ko nahīñ rahe ab vo
nahīñ hai koī jise ab qubūl ho mujh sā
maiñ jin ko mil na sakā un ke vāste ye duā
qubūl kar le ḳhudā aur nuzūl ho mujh sā
milao us se ke jis ka usul ho mujh sa
agar na aisa mile to juhul ho mujh sa
sabhi se mil lo zamane mein DhunD lo lekin
nahin milega chaman mein jo phul ho mujh sa
mizaj milta nahin ab kisi se mera yahan
KHuda nuzul kare jo malul ho mujh sa
mujhe gira ke nazar se tumhein laga hoga
nahin hai koi yahan jo fuzul ho mujh sa
hasin lagte the jin ko nahin rahe ab wo
nahin hai koi jise ab qubul ho mujh sa
main jin ko mil na saka un ke waste ye dua
qubul kar le KHuda aur nuzul ho mujh sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.