milan na raegan jae samay se par milen
milan na rā.egāñ jaa.e samay se paar mileñ
ki ek dūsre kā ban ke ham qarār mileñ
ajiib apnā muqaddar ajiib mahrūmī
ki tere hote hue tere intizār mileñ
maiñ naqd-e-jān ko bhī shauq se rakhūñ girvī
tumhāre qurb ke lamhe agar udhār mileñ
bahār phuul dhanak chāñdnī ghaTā mausam
tumhārī ek hañsī par sabhī nisār mileñ
jo khol khol ke dekhūñ ye zaḳhm-hā-e-jigar
ajab nahīñ ki hameñ dostoñ ke vaar mileñ
ḳhushā nasīb ki manzil qarīb-tar hogī
dhamāl Daalo jo raste meñ tum ko ḳhaar mileñ
hadoñ ne chhīn liyā hai hamārā qurb sanam
so apne apne badan ko zarā utaar mileñ
ye imtiyāz-e-man-o-tū miTegā kab āḳhir
myān-e-tālib-o-mtlūb bhī hisār mileñ
samajh gayā thā tujhe dekhte hī jān-e-'shajar'
hazār baar luTeñge jo ek baar mileñ
milan na raegan jae samay se par milen
ki ek dusre ka ban ke hum qarar milen
ajib apna muqaddar ajib mahrumi
ki tere hote hue tere intizar milen
main naqd-e-jaan ko bhi shauq se rakhun girwi
tumhaare qurb ke lamhe agar udhaar milen
bahaar phul dhanak chandni ghaTa mausam
tumhaari ek hansi par sabhi nisar milen
jo khol khol ke dekhun ye zaKHm-ha-e-jigar
ajab nahin ki hamein doston ke war milen
KHusha nasib ki manzil qarib-tar hogi
dhamal Dalo jo raste mein tum ko KHar milen
hadon ne chhin liya hai hamara qurb sanam
so apne apne badan ko zara utar milen
ye imtiyaz-e-man-o-tu miTega kab aaKHir
myan-e-talib-o-mtlub bhi hisar milen
samajh gaya tha tujhe dekhte hi jaan-e-'shajar'
hazar bar luTenge jo ek bar milen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.