mile bina hi bichhaDne ke Dar se lauT aae
mile binā hī bichhaḌne ke Dar se lauT aa.e
'ajīb ḳhauf meñ ham us ke dar se lauT aa.e
na aise roiye nākāmī-e-mohabbat par
ḳhushī manā.iye zinda bhañvar se lauT aa.e
ye sochte hue baiThe haiñ raah meñ ruk kar
udhar ga.e hī nahīñ the jidhar se lauT aa.e
lab us ke sāmne the aur ham ne chūmā nahīñ
samajh lo paañv uThe aur dar se lauT aa.e
abhī to vaqt hai sūraj ke Dūbne meñ to phir
ye kyā huā ki parinde safar se lauT aa.e
kisī bhī tarah ye duniyā na chhoḌ paa.e ham
ki jab bhī nikle tirī rahguzar se lauT aa.e
phir us ne dekhā koī taarā TūTte ik raat
phir ek roz musāfir safar se lauT aa.e
lageñgī aur bhī tarkīb us ko laane meñ
koī zarūrī hai samjhāne bhar se lauT aa.e
ye kis kī dhun thī jo dīvār-o-dar na pahchānā
ye kis ḳhayāl meñ apne hī ghar se lauT aa.e
mire guzarne kī afvāh hī uḌā de koī
kise ḳhabar ki vo jhūTī ḳhabar se lauT aa.e
mile bina hi bichhaDne ke Dar se lauT aae
'ajib KHauf mein hum us ke dar se lauT aae
na aise roiye nakaami-e-mohabbat par
KHushi manaiye zinda bhanwar se lauT aae
ye sochte hue baiThe hain rah mein ruk kar
udhar gae hi nahin the jidhar se lauT aae
lab us ke samne the aur hum ne chuma nahin
samajh lo panw uThe aur dar se lauT aae
abhi to waqt hai suraj ke Dubne mein to phir
ye kya hua ki parinde safar se lauT aae
kisi bhi tarah ye duniya na chhoD pae hum
ki jab bhi nikle teri rahguzar se lauT aae
phir us ne dekha koi tara TuTte ek raat
phir ek roz musafir safar se lauT aae
lagengi aur bhi tarkib us ko lane mein
koi zaruri hai samjhane bhar se lauT aae
ye kis ki dhun thi jo diwar-o-dar na pahchana
ye kis KHayal mein apne hi ghar se lauT aae
mere guzarne ki afwah hi uDa de koi
kise KHabar ki wo jhuTi KHabar se lauT aae
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 25)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.