mile hain dard hi mujhko mohabbaton ke ewaz
mile haiñ dard hī mujh ko mohabbatoñ ke evaz
sile meñ haath kaTe haiñ mashaqqatoñ ke evaz
ḳhamosh rah ke bhī maiñ guftugū karūñ un se
nigāh vo mirī paḌh leñ samā.atoñ ke evaz
gharoñ meñ sham.a kī sūrat vo raushnī kar ke
pighal rahā hai har ik pal tamāzatoñ ke evaz
na pūchho baap se apne kabhī shab-e-hijrat
milegā kyā tumheñ un kī vasiyyatoñ ke evaz
palaT ke ham ne bhī ik baar phir nahīñ dekhā
falak jo bech diye ham ne kal chhatoñ ke evaz
maiñ jī bhī jā.ūñ to tanhā.ī mujh ko Das legī
chahār samt muqātil haiñ qurbatoñ ke evaz
ai kaash merā bhī hamdard ho koī 'shārib'
mujhe rihā.ī dilā.e zamānatoñ ke evaz
mile hain dard hi mujh ko mohabbaton ke ewaz
sile mein hath kaTe hain mashaqqaton ke ewaz
KHamosh rah ke bhi main guftugu karun un se
nigah wo meri paDh len samaaton ke ewaz
gharon mein shama ki surat wo raushni kar ke
pighal raha hai har ek pal tamazaton ke ewaz
na puchho bap se apne kabhi shab-e-hijrat
milega kya tumhein un ki wasiyyaton ke ewaz
palaT ke hum ne bhi ek bar phir nahin dekha
falak jo bech diye hum ne kal chhaton ke ewaz
main ji bhi jaun to tanhai mujh ko Das legi
chahaar samt muqatil hain qurbaton ke ewaz
ai kash mera bhi hamdard ho koi 'shaarib'
mujhe rihai dilae zamanaton ke ewaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.