mile hain dost purane chalo sharab piyen
mile haiñ dost purāne chalo sharāb piyeñ
raheñ na hosh Thikāne chalo sharāb piyeñ
sharāb piine kī dāvat tamām shahr ko hai
suno falāne falāne chalo sharāb piyeñ
vo din ki jis meñ mohabbat javān hotī hai
phir aa.e din vo suhāne chalo sharāb piyeñ
sharāb piine kī aadat bahāne DhūñDhtī hai
ḳhushī ke ġham ke bahāne chalo sharāb piyeñ
ḳhushī kā bojh to aañsū bahā ke halkā ho
ġhamoñ kā bojh uThāne chalo sharāb piyeñ
tumhārī āñkhoñ kī mai mai-kade se achchhī hai
ye imtiyāz jatāne chalo sharāb piyeñ
baḌe jatan se kisī bevafā ne dil toḌā
ab us kā jashn manāne chalo sharāb piyeñ
sharāb-e-ishq pe fatvā hai to rahā aa.e
ye dil kisī kī na maane chalo sharāb piyeñ
hai un kī āñkhoñ meñ 'rāshid' sharāb-e-bedārī
maze se hosh meñ aane chalo sharāb piyeñ
mile hain dost purane chalo sharab piyen
rahen na hosh Thikane chalo sharab piyen
sharab pine ki dawat tamam shahr ko hai
suno falane falane chalo sharab piyen
wo din ki jis mein mohabbat jawan hoti hai
phir aae din wo suhane chalo sharab piyen
sharab pine ki aadat bahane DhunDhti hai
KHushi ke gham ke bahane chalo sharab piyen
KHushi ka bojh to aansu baha ke halka ho
ghamon ka bojh uThane chalo sharab piyen
tumhaari aankhon ki mai mai-kade se achchhi hai
ye imtiyaz jatane chalo sharab piyen
baDe jatan se kisi bewafa ne dil toDa
ab us ka jashn manane chalo sharab piyen
sharab-e-ishq pe fatwa hai to raha aae
ye dil kisi ki na mane chalo sharab piyen
hai un ki aankhon mein 'rashid' sharab-e-bedari
maze se hosh mein aane chalo sharab piyen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.