mile hain harf bas itne mujhe bayan ke liye
mile haiñ harf bas itne mujhe bayāñ ke liye
galī kī raushnī jaise kisī makāñ ke liye
chalo ki chal ke kisī dasht ko kareñ ābād
fazā-e-shahr to qātil hai jism-o-jāñ ke liye
hamāre dar kī sabhī dastakeñ rahīñ mahfūz
tamām-umr kisī dast-e-mehrbāñ ke liye
sabhī ko merī tarah ishq kā nahīñ idrāk
samundaroñ kā safar hai jahāz-rāñ ke liye
havā-e-bahr had-e-bahr se nikal na sakī
kabhī uThā jo koī abr shahr-e-jāñ ke liye
ajiib baat makīnoñ ko kuchh ḳhabar na huī
galī meñ boliyāñ lagtī rahīñ makāñ ke liye
usī jahāñ kī mohabbat meñ mar ga.e 'ḳhāvar'
kiyā na kaam koī tum ne is jahāñ ke liye
mile hain harf bas itne mujhe bayan ke liye
gali ki raushni jaise kisi makan ke liye
chalo ki chal ke kisi dasht ko karen aabaad
faza-e-shahr to qatil hai jism-o-jaan ke liye
hamare dar ki sabhi dastaken rahin mahfuz
tamam-umr kisi dast-e-mehrban ke liye
sabhi ko meri tarah ishq ka nahin idrak
samundaron ka safar hai jahaz-ran ke liye
hawa-e-bahr had-e-bahr se nikal na saki
kabhi uTha jo koi abr shahr-e-jaan ke liye
ajib baat makinon ko kuchh KHabar na hui
gali mein boliyan lagti rahin makan ke liye
usi jahan ki mohabbat mein mar gae 'KHawar'
kiya na kaam koi tum ne is jahan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.