mile hain log zamane mein be-usul mujhe
mile haiñ log zamāne meñ be-usūl mujhe
kiyā hai sūrat-e-hālāt ne malūl mujhe
jahāñ se sāhab-e-kirdār koī guzrā hai
bahut aziiz hai us rāste kī dhuul mujhe
jo haq kī raah meñ ḳhud ko miTānā jāntā ho
pasand aate haiñ us shaḳhs ke usuul mujhe
milī haiñ mujh ko virāsat meñ kuchh ajab qadreñ
samāj ne diye haiñ kāġhzī se phuul mujhe
sadā-e-haq mirī duniyā meñ dab ga.ī hai magar
nahīñ shikast kisī taur bhī qubūl mujhe
hai jo bhī dil meñ mire us pe ho sake zāhir
har ek baat ko denā paḌā hai tuul mujhe
maiñ sochtā thā mirā us se koī rishta nahīñ
kisī kī yaad magar kar ga.ī malūl mujhe
mile hain log zamane mein be-usul mujhe
kiya hai surat-e-haalat ne malul mujhe
jahan se sahab-e-kirdar koi guzra hai
bahut aziz hai us raste ki dhul mujhe
jo haq ki rah mein KHud ko miTana jaanta ho
pasand aate hain us shaKHs ke usul mujhe
mili hain mujh ko wirasat mein kuchh ajab qadren
samaj ne diye hain kaghzi se phul mujhe
sada-e-haq meri duniya mein dab gai hai magar
nahin shikast kisi taur bhi qubul mujhe
hai jo bhi dil mein mere us pe ho sake zahir
har ek baat ko dena paDa hai tul mujhe
main sochta tha mera us se koi rishta nahin
kisi ki yaad magar kar gai malul mujhe
- Book : Gulzar-e-Sukhan (Pg. 23)
- Author : Karan Singh Karan
- Publication : Karan Singh Karan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.