mile hain zaKHm jo in se use sajaunga
mile haiñ zaḳhm jo in se use sajā.ūñgā
maiñ ab kisī ko bhī paa.el nahīñ dilā.ūñgā
tumhāre naam ke aage likhā thā naam mirā
maiñ apne hāthoñ se is ko abhī miTā.ūñgā
kaho ye us se ki kar le nikāh chāhat se
maiñ ab kisī ko bhī dul.han nahīñ banā.ūñgā
sameT rakkhā hai bāhoñ meñ us ko merī tarah
ye fan to ab maiñ kisī ko nahīñ sikhā.ūñgā
chalā gayā hai jo ġhairoñ kī baat sun ke use
maiñ kis mizāj se vāpas use bulā.ūñgā
vo ho chuke the kisī aur ke qarīb qarīb
samajh rahe the maiñ ye bhī samajh na pā.ūñgā
lagegā sab ko ki maiñ ne hī us ko chhoḌā hai
maiñ is tarah se zamāne ko sab batā.ūñgā
mile hain zaKHm jo in se use sajaunga
main ab kisi ko bhi pael nahin dilaunga
tumhaare nam ke aage likha tha nam mera
main apne hathon se is ko abhi miTaunga
kaho ye us se ki kar le nikah chahat se
main ab kisi ko bhi dulhan nahin banaunga
sameT rakkha hai bahon mein us ko meri tarah
ye fan to ab main kisi ko nahin sikhaunga
chala gaya hai jo ghairon ki baat sun ke use
main kis mizaj se wapas use bulaunga
wo ho chuke the kisi aur ke qarib qarib
samajh rahe the main ye bhi samajh na paunga
lagega sab ko ki main ne hi us ko chhoDa hai
main is tarah se zamane ko sab bataunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.