mile jo naqa-e-wahshat ko sarban koi
mile jo nāqa-e-vahshat ko sārbāñ koī
dikhā.ūñ qāfila-e-ḳhvāb kā nishāñ koī
ḳhamoshiyoñ hī se mashrūt hai janam merā
so merī raakh se uThtā nahīñ dhuāñ koī
ḳhasāra aur hī hotā thā be-gharī kā magar
mujhe makān meñ rakhtā hai be-makāñ koī
kisī se hone na hone ke darmiyāñ ho jo rabt
vahīñ to rabt meñ aatā hai darmiyāñ koī
surāġh de ke mujhe merī be-zabānī kā
mujhī meñ aan basā mujh sā be-zabāñ koī
tū mere aks ko mīzān-e-ā.ina meñ na tol
uThā rahā hai abhī merī kirchiyāñ koī
tire ḳhayāl kī ābādiyāñ chhupātī huuñ
ki mujh se chhīn na le merī bastiyāñ koī
mile jo naqa-e-wahshat ko sarban koi
dikhaun qafila-e-KHwab ka nishan koi
KHamoshiyon hi se mashrut hai janam mera
so meri rakh se uThta nahin dhuan koi
KHasara aur hi hota tha be-ghari ka magar
mujhe makan mein rakhta hai be-makan koi
kisi se hone na hone ke darmiyan ho jo rabt
wahin to rabt mein aata hai darmiyan koi
suragh de ke mujhe meri be-zabani ka
mujhi mein aan basa mujh sa be-zaban koi
tu mere aks ko mizan-e-aina mein na tol
uTha raha hai abhi meri kirchiyan koi
tere KHayal ki aabaadiyan chhupati hun
ki mujh se chhin na le meri bastiyan koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.