mile jo tum se mila ek surur kya samjhe
mile jo tum se milā ik surūr kyā samjhe
hamāre dil ko huā hai ġhurūr kyā samjhe
use ye zid ke tumheñ roz milne aanā hai
tumhārā 'uzr dil-e-nā-sabūr kyā samjhe
hameñ bhī shauq to jalvagarī kā thā lekin
hamāre hisse meñ muusā na tuur kyā samjhe
utārā jā.egā mujh ko za'īf zehnoñ par
thamā.ī jā.egī mujh ko zabūr kyā samjhe
chhupā ke siine meñ apne tumhārā mom sā dil
kiyā hai aag kā dariyā 'ubūr kyā samjhe
maraz anā kā tumheñ lag gayā abhī lekin
hameñ bhī DhūñDoge ik din zarūr kyā samjhe
tumhārī diid ne baḳhshī nazar ko tābānī
basā hai chāroñ taraf nuur nuur kyā samjhe
hamāre yaar kā takiya-kalām hai 'ārif'
har ek baat pe kahnā huzūr kyā samjhe
mile jo tum se mila ek surur kya samjhe
hamare dil ko hua hai ghurur kya samjhe
use ye zid ke tumhein roz milne aana hai
tumhaara 'uzr dil-e-na-sabur kya samjhe
hamein bhi shauq to jalwagari ka tha lekin
hamare hisse mein musa na tur kya samjhe
utara jaega mujh ko za'if zehnon par
thamai jaegi mujh ko zabur kya samjhe
chhupa ke sine mein apne tumhaara mom sa dil
kiya hai aag ka dariya 'ubur kya samjhe
maraz ana ka tumhein lag gaya abhi lekin
hamein bhi DhunDoge ek din zarur kya samjhe
tumhaari did ne baKHshi nazar ko tabani
basa hai chaaron taraf nur nur kya samjhe
hamare yar ka takiya-kalam hai 'arif'
har ek baat pe kahna huzur kya samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.