mile safar mein jo karb-o-malal puchhega
mile safar meñ jo karb-o-malāl pūchhegā
gale lagā ke koī merā haal pūchhegā
nahīñ hai dil meñ agar kuchh malāl pūchhegā
to kaise aaya ye shīshe meñ baal pūchhegā
dil-e-tabāh kī betābiyoñ ke baare meñ
batāo kyā hai tumhārā ḳhayāl pūchhegā
sikhā diyā thā bahalnā jinhoñ ne ḳhvāboñ se
kahāñ ga.e vo hasīñ māh-o-sāl pūchhegā
javāb de na sakūñ apnī palkeñ nam kar luuñ
vo jān-būjh kar aise savāl pūchhegā
zarā sī baat ko dil se lagā ke ai 'sīmā'
liyā hai sar pe ye kaisā vabāl pūchhegā
mile safar mein jo karb-o-malal puchhega
gale laga ke koi mera haal puchhega
nahin hai dil mein agar kuchh malal puchhega
to kaise aaya ye shishe mein baal puchhega
dil-e-tabah ki betabiyon ke bare mein
batao kya hai tumhaara KHayal puchhega
sikha diya tha bahalna jinhon ne KHwabon se
kahan gae wo hasin mah-o-sal puchhega
jawab de na sakun apni palken nam kar lun
wo jaan-bujh kar aise sawal puchhega
zara si baat ko dil se laga ke ai 'sima'
liya hai sar pe ye kaisa wabaal puchhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.