milega hum ko wo phir dobara hamein pata hai
milegā ham ko vo phir dobāra hameñ patā hai
kiyā hai ham ne bhī istiḳhāra hameñ patā hai
tumhārī niyyat amal tumhārā hameñ patā hai
hamāre hisse meñ hai ḳhasāra hameñ patā hai
ḳhamosh haiñ ham yahī taqāzā hai maslahat kā
magar siyāsat kā khel saarā hameñ patā hai
banā rahe haiñ janāb-e-ālī kise nishāna
kiyā gayā hai kidhar ishāra hameñ patā hai
junūñ kī had se abhī mohabbat hai duur shāyad
abhī to ghar kā patā hamārā hameñ patā hai
milega hum ko wo phir dobara hamein pata hai
kiya hai hum ne bhi istiKHara hamein pata hai
tumhaari niyyat amal tumhaara hamein pata hai
hamare hisse mein hai KHasara hamein pata hai
KHamosh hain hum yahi taqaza hai maslahat ka
magar siyasat ka khel sara hamein pata hai
bana rahe hain janab-e-ali kise nishana
kiya gaya hai kidhar ishaara hamein pata hai
junun ki had se abhi mohabbat hai dur shayad
abhi to ghar ka pata hamara hamein pata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.