milega kya tujhe insan sarabon mein bhaTakne se
milegā kyā tujhe insāñ sarāboñ meñ bhaTakne se
bujhegī pyaas jīvan kī usī kā naam raTne se
añdherā laakh gahrā ho ujālā aa ke rahtā hai
koī shab rok saktī hai bhalā sūraj ko ugne se
vahī to raah rokegā jo terā ham-safar hogā
havā hī rok saktī hai faqat gul ko mahakne se
nahīñ jo ho sakā apnā kisī bhī moḌ par 'pāThak'
kahāñ hai fā.eda us se koī ummīd rakhne se
milega kya tujhe insan sarabon mein bhaTakne se
bujhegi pyas jiwan ki usi ka nam raTne se
andhera lakh gahra ho ujala aa ke rahta hai
koi shab rok sakti hai bhala suraj ko ugne se
wahi to rah rokega jo tera ham-safar hoga
hawa hi rok sakti hai faqat gul ko mahakne se
nahin jo ho saka apna kisi bhi moD par 'paThak'
kahan hai faeda us se koi ummid rakhne se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.