milenge anginat yun to bala se khelne wale
mileñge anginat yuuñ to balā se khelne vaale
magar kam dekhte haiñ ham qazā se khelne vaale
jinheñ apne samajhte ho vo apne ho nahīñ sakte
havā ho jā.eñge ik din havā se khelne vaale
paḌe haiñ nā-mukammal kab se afsāne mohabbat ke
adā se luuT lete haiñ adā se khelne vaale
ta'ajjub hai abhī se aañkh terī ho ga.ī pur-nam
huā kyā hai abhī jaur-o-jafā se khelne vaale
dam-e-āḳhir faqat do ashk hī to kaam aate haiñ
samajh kar khel jazbāt-e-vafā se khelne vaale
milenge anginat yun to bala se khelne wale
magar kam dekhte hain hum qaza se khelne wale
jinhen apne samajhte ho wo apne ho nahin sakte
hawa ho jaenge ek din hawa se khelne wale
paDe hain na-mukammal kab se afsane mohabbat ke
ada se luT lete hain ada se khelne wale
ta'ajjub hai abhi se aankh teri ho gai pur-nam
hua kya hai abhi jaur-o-jafa se khelne wale
dam-e-aKHir faqat do ashk hi to kaam aate hain
samajh kar khel jazbaat-e-wafa se khelne wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.