mili fursat agar ranj-o-bala se
milī fursat agar ranj-o-balā se
kaheñge ham bhī kuchh apne ḳhudā se
ḳhudā-nā-ḳhvāsta tum se gila ho
shikāyat hai hameñ apnī du'ā se
yūñhī rabt un se mujh se har-nafas hai
ho jaise ġhuncha-o-gul kā sabā se
koī māñge to kyā duniyā se māñge
mile kyā ḳhaak be-barg-o-navā se
kabhī 'nāshād' ko dekhā to bole
nazar aate haiñ sūrat-āshnā se
mili fursat agar ranj-o-bala se
kahenge hum bhi kuchh apne KHuda se
KHuda-na-KHwasta tum se gila ho
shikayat hai hamein apni du'a se
yunhi rabt un se mujh se har-nafas hai
ho jaise ghuncha-o-gul ka saba se
koi mange to kya duniya se mange
mile kya KHak be-barg-o-nawa se
kabhi 'nashad' ko dekha to bole
nazar aate hain surat-ashna se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.