mili hai rah-e-mohabbat mein eatibar ki chhanw
mili hai rah-e-mohabbat mein eatibar ki chhanw
Sajid Akhtar Mehshar Ansari
MORE BYSajid Akhtar Mehshar Ansari
milī hai rāh-e-mohabbat meñ e.atibār kī chhāñv
sulagte sahrā meñ hai saath tere pyaar kī chhāñv
vo terī zulf-e-girah-gīr kā ghanā saaya
ḳhizāñ meñ aane lagī yaad vo bahār kī chhāñv
tirī vafā ne vafā kī nahīñ isī ġham meñ
tire ḳhutūt ko denī paḌī ġhubār kī chhāñv
jo terī zaat kī hamd-o-sanā se hai mansūb
mujhe nasīb ho maulā usī dayār kī chhāñv
sitamgaroñ pe chalī aur ban ga.ī muḳhlis
sitam-rasīda pe shamshīr-e-āb-dār kī chhāñv
ye aisā peḌ hai jo aag hī ugaltā hai
hameñ nasīb kahāñ hizb-e-iqtidār kī chhāñv
huuñ sūkhā peḌ tirī rahguzar kā ai 'mahshar'
so de rahā huuñ tujhe mere iḳhtiyār kī chhāñv
mili hai rah-e-mohabbat mein eatibar ki chhanw
sulagte sahra mein hai sath tere pyar ki chhanw
wo teri zulf-e-girah-gir ka ghana saya
KHizan mein aane lagi yaad wo bahaar ki chhanw
teri wafa ne wafa ki nahin isi gham mein
tere KHutut ko deni paDi ghubar ki chhanw
jo teri zat ki hamd-o-sana se hai mansub
mujhe nasib ho maula usi dayar ki chhanw
sitamgaron pe chali aur ban gai muKHlis
sitam-rasida pe shamshir-e-ab-dar ki chhanw
ye aisa peD hai jo aag hi ugalta hai
hamein nasib kahan hizb-e-iqtidar ki chhanw
hun sukha peD teri rahguzar ka ai 'mahshar'
so de raha hun tujhe mere iKHtiyar ki chhanw
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.