mili jo fursat-e-yak-lamha zindagi ke liye
milī jo fursat-e-yak-lamha zindagī ke liye
hazār kaam nikal aa.e aadmī ke liye
vo zinda log haiñ Thukrā ke jo havādis ko
nikālte haiñ na.ī raah aadmī ke liye
jo ahl-e-dil haiñ tire ġham kī qadr karte haiñ
ye ik charāġh hī kaafī hai raushnī ke liye
koī taḌap koī halchal na koī hangāma
sukūñ bhī ek qayāmat hai aadmī ke liye
itāb-e-dost kahāñ sab ko raas aatā hai
ye zahr qand hai lekin kisī kisī ke liye
hamārā haal kuchh aisā tire dayār meñ hai
ki jaise shahr ke raste ik ajnabī ke liye
fasurdagī hī ma.āl-e-shaguftagī hai 'majīd'
kise ḳhabar ki hañsī maut hai kalī ke liye
mili jo fursat-e-yak-lamha zindagi ke liye
hazar kaam nikal aae aadmi ke liye
wo zinda log hain Thukra ke jo hawadis ko
nikalte hain nai rah aadmi ke liye
jo ahl-e-dil hain tere gham ki qadr karte hain
ye ek charagh hi kafi hai raushni ke liye
koi taDap koi halchal na koi hangama
sukun bhi ek qayamat hai aadmi ke liye
itab-e-dost kahan sab ko ras aata hai
ye zahr qand hai lekin kisi kisi ke liye
hamara haal kuchh aisa tere dayar mein hai
ki jaise shahr ke raste ek ajnabi ke liye
fasurdagi hi maal-e-shaguftagi hai 'majid'
kise KHabar ki hansi maut hai kali ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.