Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mili nigahen uTha talatum ajib dil par asar hua hai

Naushad Munis Aazmi

mili nigahen uTha talatum ajib dil par asar hua hai

Naushad Munis Aazmi

MORE BYNaushad Munis Aazmi

    milī nigāheñ uThā talātum ajiib dil par asar huā hai

    jo haal merā idhar huā hai vo haal un udhar huā hai

    mirī alālat pe dauḌe aa.e milī nigāheñ to jal ke bole

    Darā diyā thā qasam ḳhudā sunā thā dard-e-jigar huā hai

    chaman meñ barpā hai shor-e-mātam guloñ ke chehre utar ga.e haiñ

    ye bāġhbānoñ ke karam se nizām zer-o-zabar huā hai

    hasad ātish bhaḌak rahī hai huā hai bhaa.ī bhaa.ī dushman

    makānoñ se uTh rahe haiñ sho.ale ki nazr-e-ātish nagar huā hai

    jo mujh se nafrat hai un ko itnī uThā leñ ḳhanjar na uf karūñgā

    unhoñ ne dil kiyā hai ghāyal unhīñ se zaḳhmī jigar huā hai

    maiñ tishnagī karūñ jo shikva tarāsh merī zabān saaqī

    magar batā de ḳhatā hai kis jo mai-kada muntashar huā hai

    chalo musammam ye ahd kar leñ miTā deñ ham dushmanī jahāñ se

    sikhā.eñ bātil ko ham sa.ādat jo haq se bhī be-ḳhabar huā hai

    yahī to me.arāj-e-āshiqī hai yahī to vaj.h-e-sukūn hogā

    bas ek dafa vo kah de 'monis' tirī vafā asar huā hai

    mili nigahen uTha talatum ajib dil par asar hua hai

    jo haal mera idhar hua hai wo haal un ka udhar hua hai

    meri alalat pe dauDe aae mili nigahen to jal ke bole

    Dara diya tha qasam KHuda ki suna tha dard-e-jigar hua hai

    chaman mein barpa hai shor-e-matam gulon ke chehre utar gae hain

    ye baghbanon ke hi karam se nizam zer-o-zabar hua hai

    hasad ki aatish bhaDak rahi hai hua hai bhai ka bhai dushman

    makanon se uTh rahe hain shoale ki nazr-e-atish nagar hua hai

    jo mujh se nafrat hai un ko itni uTha len KHanjar na uf karunga

    unhon ne hi dil kiya hai ghayal unhin se zaKHmi jigar hua hai

    main tishnagi ka karun jo shikwa tarash meri zaban saqi

    magar bata de KHata hai kis ki jo mai-kada muntashar hua hai

    chalo musammam ye ahd kar len miTa den hum dushmani jahan se

    sikhaen baatil ko hum saadat jo haq se bhi be-KHabar hua hai

    yahi to mearaj-e-ashiqi hai yahi to wajh-e-sukun hoga

    bas ek dafa wo kah de 'monis' teri wafa ka asar hua hai

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now