miliye zarur us se hamesha KHushi ke sath
miliye zarūr us se hamesha ḳhushī ke saath
jo aadmī bhī tum se mile sādgī ke saath
dushman kā hai sulūk bhī ab yaar kī tarah
tum hī batāo kyā karūñ is dushmanī ke saath
ḳhushiyoñ ke saath saath hai ġham kā vabāl bhī
donoñ juḌe hue haiñ isī aadmī ke saath
mujh ko ‘azīm-tar kiye sar par liye hue
kuchh log jā rahe haiñ magar ḳhāmushī ke saath
har pahlū merī ziist kā raushan hai yaad se
har yaad bhī juḌī hai tirī sādgī ke saath
ye to batā de log tujhe kah rahe the kyā
jis din milā thā tujh se bhī maiñ 'ājizī ke saath
'rahbar' tumhāre kaam kā anjām nek hai
har kaam yuuñ hī karte raho ḳhush-dilī ke saath
miliye zarur us se hamesha KHushi ke sath
jo aadmi bhi tum se mile sadgi ke sath
dushman ka hai suluk bhi ab yar ki tarah
tum hi batao kya karun is dushmani ke sath
KHushiyon ke sath sath hai gham ka wabaal bhi
donon juDe hue hain isi aadmi ke sath
mujh ko ‘azim-tar kiye sar par liye hue
kuchh log ja rahe hain magar KHamushi ke sath
har pahlu meri zist ka raushan hai yaad se
har yaad bhi juDi hai teri sadgi ke sath
ye to bata de log tujhe kah rahe the kya
jis din mila tha tujh se bhi main 'ajizi ke sath
'rahbar' tumhaare kaam ka anjam nek hai
har kaam yun hi karte raho KHush-dili ke sath
- Book : Aao Raushni Karlen (Pg. 72)
- Author : Rahbar Pratapgarhi
- Publication : Maktaba Ahsan,Lucknow (2023)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.