millaten jab jada-e-haq se gurezan ho gain
millateñ jab jāda-e-haq se gurezāñ ho ga.iiñ
jaane kitnī bastiyāñ shahr-e-ḳhamoshāñ ho ga.ī
pastiyāñ panjoñ ke bal uchhlī to qīmat baḌh ga.iiñ
azmateñ bāzār meñ pahuñchīñ to arzāñ ho ga.iiñ
zabt-e-ġham kā ye tamāsha bhī kisī din dekhnā
āñdhiyāñ tinkoñ se Takrā kar pashemāñ ho ga.iiñ
izzat-o-nāmūs ke da.ave fasāna ban ga.iiñ
ismateñ jab ḳhud bharī mahfil meñ uryāñ ho ga.iiñ
be-hisī ḳhud-ġharziyāñ ayyāriyāñ makr-o-fareb
āj-kal ye ḳhūbiyāñ izzat kā sāmāñ ho ga.iiñ
aap to ḳhāmosh rah kar bhī bahut kuchh kah ga.e
ranjisheñ jo dil pe thiiñ ruḳh par numāyāñ ho ga.iiñ
vo bhī kyā din the ki jab āzād the zehn-o-zamīr
ab to in bātoñ ke guzre jaise sadiyāñ ho ga.iiñ
millaten jab jada-e-haq se gurezan ho gain
jaane kitni bastiyan shahr-e-KHamoshan ho gai
pastiyan panjon ke bal uchhli to qimat baDh gain
azmaten bazar mein pahunchin to arzan ho gain
zabt-e-gham ka ye tamasha bhi kisi din dekhna
aandhiyan tinkon se Takra kar pasheman ho gain
izzat-o-namus ke dawe fasana ban gain
ismaten jab KHud bhari mahfil mein uryan ho gain
be-hisi KHud-gharziyan ayyariyan makr-o-fareb
aaj-kal ye KHubiyan izzat ka saman ho gain
aap to KHamosh rah kar bhi bahut kuchh kah gae
ranjishen jo dil pe thin ruKH par numayan ho gain
wo bhi kya din the ki jab aazad the zehn-o-zamir
ab to in baaton ke guzre jaise sadiyan ho gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.