milne ka un se ab koi imkan bhi nahin
milne kā un se ab koī imkān bhī nahīñ
lekin na jaane kyoñ maiñ pareshān bhī nahīñ
har dam usī kī yaad hai zahrāb-e-jāñ mujhe
maiñ us ko bhuul jā.ūñ ye āsān bhī nahīñ
maanā ki us se rabt-o-ta.alluq nahīñ koī
kyā us kā ishq ab mirī pahchān bhī nahīñ
ab us se kyā umīd-e-vafā ham bhalā kareñ
apnī ḳhatāoñ par jo pashemān bhī nahīñ
mar-mar ke maiñ ne ḳhud hī guzārī hai zindagī
is zindagī kā mujh pe kuchh ehsān bhī nahīñ
'vāsil' ajiib shaḳhs hai jis ko ki aaj tak
dushman kī aur dost kī pahchān bhī nahīñ
milne ka un se ab koi imkan bhi nahin
lekin na jaane kyon main pareshan bhi nahin
har dam usi ki yaad hai zahrab-e-jaan mujhe
main us ko bhul jaun ye aasan bhi nahin
mana ki us se rabt-o-talluq nahin koi
kya us ka ishq ab meri pahchan bhi nahin
ab us se kya umid-e-wafa hum bhala karen
apni KHataon par jo pasheman bhi nahin
mar-mar ke main ne KHud hi guzari hai zindagi
is zindagi ka mujh pe kuchh ehsan bhi nahin
'wasil' ajib shaKHs hai jis ko ki aaj tak
dushman ki aur dost ki pahchan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.