milne ke nahin nishan hamare
milne ke nahīñ nishāñ hamāre
kyā pūchhte ho makāñ hamāre
ehsāñ se nahīñ badī bhī ḳhālī
dushman haiñ mehrbāñ hamāre
pachhtāoge jaan le ke dekho
nāhaq haiñ ye imtihāñ hamāre
be-misl haiñ lazzat-e-suḳhan meñ
sab uTh ga.e ham-zabāñ hamāre
āzād kī justujū 'abas hai
pāoge pate kahāñ hamāre
uḌtī hai ḳhaak is zamīñ se
paḌte haiñ qadam jahāñ hamāre
naaqa laate haiñ is taraf roz
mohsin haiñ sārbāñ hamāre
ham se bhī kuchh kaho azīzo
kyā zikr the shab vahāñ hamāre
zāhir hai jo guzar rahī hai
kuchh haal nahīñ nihāñ hamāre
bah ga.e 'nasīm' rañg kyā kyā
ye dīda-e-ḳhūñ-fishāñ hamāre
milne ke nahin nishan hamare
kya puchhte ho makan hamare
ehsan se nahin badi bhi KHali
dushman hain mehrban hamare
pachhtaoge jaan le ke dekho
nahaq hain ye imtihan hamare
be-misl hain lazzat-e-suKHan mein
sab uTh gae ham-zaban hamare
aazad ki justuju 'abas hai
paoge pate kahan hamare
uDti hai KHak is zamin se
paDte hain qadam jahan hamare
naqa late hain is taraf roz
mohsin hain sarban hamare
hum se bhi kuchh kaho azizo
kya zikr the shab wahan hamare
zahir hai jo guzar rahi hai
kuchh haal nahin nihan hamare
bah gae 'nasim' rang kya kya
ye dida-e-KHun-fishan hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.