milne ki mujhe yar se fursat nahin milti
milne kī mujhe yaar se fursat nahīñ miltī
ai marg Thahar jā abhī ruḳhsat nahīñ miltī
kuchh pairahan-e-yār kī nik.hat nahīñ miltī
yūsuf kī hameñ apne bashārat nahīñ miltī
zardār se duniyā kī bizā.at nahīñ miltī
ganjīna-e-ḳhurshīd se daulat nahīñ miltī
hai har-nafas ik durr-e-nafīs ai dil-e-nādāñ
ye jins-e-girāñ hai ki ba-qīmat nahīñ miltī
yā ham se the har pal tirī chitvan ke ishāre
yā aañkh bhī ab mahv-e-sharārat nahīñ miltī
ham dil pe liye dāġh-e-junūñ jaate haiñ āḳhir
kuchh aur nishānī dam-e-ruḳhsat nahīñ miltī
zanjīr tire haath se pahnūñgā gale meñ
gar silsila-e-zulf meñ bai'at nahīñ miltī
mat jaan de us but pe dilā bahr-e-ḳhudā tū
kyā tujh ko koī dūsrī sūrat nahīñ miltī
ab aañkh milāne kā nahīñ yaar se yaarā
dil us se milā jis se tabī.at nahīñ miltī
un se jo kisī ne kahā kushte ko tumhāre
us kūche meñ bhī jā pa.e-turbat nahīñ miltī
ho kar vo ḳhafā kahne lage murde to dar-gor
zindoñ ko yahāñ jā-e-iqāmat nahīñ miltī
us ġhairat-e-īsā ke jo ġham meñ huuñ giraftār
'daula' mujhe marne kī bhī fursat nahīñ miltī
milne ki mujhe yar se fursat nahin milti
ai marg Thahar ja abhi ruKHsat nahin milti
kuchh pairahan-e-yar ki nikhat nahin milti
yusuf ki hamein apne bashaarat nahin milti
zardar se duniya ki bizaat nahin milti
ganjina-e-KHurshid se daulat nahin milti
hai har-nafas ek durr-e-nafis ai dil-e-nadan
ye jins-e-giran hai ki ba-qimat nahin milti
ya hum se the har pal teri chitwan ke ishaare
ya aankh bhi ab mahw-e-shararat nahin milti
hum dil pe liye dagh-e-junun jate hain aaKHir
kuchh aur nishani dam-e-ruKHsat nahin milti
zanjir tere hath se pahnunga gale mein
gar silsila-e-zulf mein bai'at nahin milti
mat jaan de us but pe dila bahr-e-KHuda tu
kya tujh ko koi dusri surat nahin milti
ab aankh milane ka nahin yar se yara
dil us se mila jis se tabiat nahin milti
un se jo kisi ne kaha kushte ko tumhaare
us kuche mein bhi ja pae-turbat nahin milti
ho kar wo KHafa kahne lage murde to dar-gor
zindon ko yahan ja-e-iqamat nahin milti
us ghairat-e-isa ke jo gham mein hun giraftar
'daula' mujhe marne ki bhi fursat nahin milti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.