milne mein mujhko aap se kya ijtinab tha
milne meñ mujh ko aap se kyā ijtināb thā
par kyā kareñ ki shahr kā mausam ḳharāb thā
jab jā chuke tamām hī rishtoñ ke qāfile
maiñ thā tumhārī yaad kā taaza gulāb thā
sab log aa ke apnī kahānī sunā ga.e
maiñ kuchh na kah sakā mujhe kitnā hijāb thā
duniyā ke saare raaz se vāqif to thā magar
vo paḌh sakā na mujh ko maiñ aisī kitāb thā
muTThī meñ us kī band thiiñ merī zarūrateñ
maiñ thā mahaz savāl vo merā javāb thā
maiñ ne kahīñ 'nasīm' ko dekhā thā raah meñ
chehra thā us kā zard to huliya ḳharāb thā
milne mein mujh ko aap se kya ijtinab tha
par kya karen ki shahr ka mausam KHarab tha
jab ja chuke tamam hi rishton ke qafile
main tha tumhaari yaad ka taza gulab tha
sab log aa ke apni kahani suna gae
main kuchh na kah saka mujhe kitna hijab tha
duniya ke sare raaz se waqif to tha magar
wo paDh saka na mujh ko main aisi kitab tha
muTThi mein us ki band thin meri zaruraten
main tha mahaz sawal wo mera jawab tha
main ne kahin 'nasim' ko dekha tha rah mein
chehra tha us ka zard to huliya KHarab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.