milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga
miloñ ke shahr meñ ghaTtā huā din sochtā hogā
dhueñ ko jītne vāloñ kā sūraj dūsrā hogā
agar mar kar phir uThnā hai to marne kī ḳhushī kyā hai
badan khone kā ġham jiine kī ḳhushiyoñ se sivā hogā
sunā hai ye zamīñ uḌtī phiregī ruuī kī sūrat
tamāshā karne vaalā hī tamāshā dekhtā hogā
maiñ chiḌiyoñ ko ulajhte dekh kar laḌtā samajhtā huuñ
magar sachchā.ī kyā hai ye unhīñ se pūchhnā hogā
tumhārā jism merī aag meñ tap kar nikhartā hai
magar ik roz merā jism ThanDā paḌ gayā hogā
mujhe ḳhushbū lapeTe jism kuchh achchhe nahīñ lagte
magar us ko mirā ḳhālī badan bhī kāTtā hogā
milon ke shahr mein ghaTta hua din sochta hoga
dhuen ko jitne walon ka suraj dusra hoga
agar mar kar phir uThna hai to marne ki KHushi kya hai
badan khone ka gham jine ki KHushiyon se siwa hoga
suna hai ye zamin uDti phiregi rui ki surat
tamasha karne wala hi tamasha dekhta hoga
main chiDiyon ko ulajhte dekh kar laDta samajhta hun
magar sachchai kya hai ye unhin se puchhna hoga
tumhaara jism meri aag mein tap kar nikharta hai
magar ek roz mera jism ThanDa paD gaya hoga
mujhe KHushbu lapeTe jism kuchh achchhe nahin lagte
magar us ko mera KHali badan bhi kaTta hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.