milta hun pe KHush-baKHt sitaron se bahut kam
miltā huuñ pe ḳhush-baḳht sitāroñ se bahut kam
aur is pe mazīd apne irādoñ se bahut kam
kyā ḳhaak mujhe milte tire naqsh-e-kaf-e-pā
guzrā thā magar dasht kī rāhoñ se bahut kam
ab vo bhī nahīñ pūchhtā ahvāl sabā se
merā bhī ta'alluq hai havāoñ se bahut kam
Dūbūñgā to dariyā kī hadoñ se bhī pare tak
ubhrūñgā to phir tere taqāzoñ se bahut kam
vo shaḳhs jatātā hai har ik pal ki mohabbat
hai ahm magar dūsre rishtoñ se bahut kam
ab maiñ bhī simaTne meñ kiyā kartā huuñ tāḳhīr
aatī hai sadā us kī bhī bāñhoñ se bahut kam
jaañ rakh ke hathelī pe yahāñ chīḳhiye 'sādiq'
ye log pighalte haiñ par aahoñ se bahut kam
milta hun pe KHush-baKHt sitaron se bahut kam
aur is pe mazid apne iradon se bahut kam
kya KHak mujhe milte tere naqsh-e-kaf-e-pa
guzra tha magar dasht ki rahon se bahut kam
ab wo bhi nahin puchhta ahwal saba se
mera bhi ta'alluq hai hawaon se bahut kam
Dubunga to dariya ki hadon se bhi pare tak
ubhrunga to phir tere taqazon se bahut kam
wo shaKHs jatata hai har ek pal ki mohabbat
hai ahm magar dusre rishton se bahut kam
ab main bhi simaTne mein kiya karta hun taKHir
aati hai sada us ki bhi banhon se bahut kam
jaan rakh ke hatheli pe yahan chiKHiye 'sadiq'
ye log pighalte hain par aahon se bahut kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.