milte hain hasin humse magar dil nahin milta
milte haiñ hasīñ ham se magar dil nahīñ miltā
bā-vaz' koī pyaar ke qābil nahīñ miltā
kuchh anjuman-e-hashr ke ādāb na.e haiñ
sab milte haiñ vo bānī-e-mahfil nahīñ miltā
itnā to ho e.ajāz ke jhuk jaa.e jabīñ ḳhud
aisā koī dar sajde ke qābil nahīñ miltā
ab roz kahāñ se koī un ke liye laa.e
ye zid bhī na.ī hai ki nayā dil nahīñ miltā
kho.e hue baiThe haiñ tirī bazm meñ 'safdar'
ab DhūñDh rahe haiñ ki mirā dil nahīñ miltā
milte hain hasin hum se magar dil nahin milta
ba-waz' koi pyar ke qabil nahin milta
kuchh anjuman-e-hashr ke aadab nae hain
sab milte hain wo bani-e-mahfil nahin milta
itna to ho eajaz ke jhuk jae jabin KHud
aisa koi dar sajde ke qabil nahin milta
ab roz kahan se koi un ke liye lae
ye zid bhi nai hai ki naya dil nahin milta
khoe hue baiThe hain teri bazm mein 'safdar'
ab DhunDh rahe hain ki mera dil nahin milta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.