milti muddat mein hai aur pal mein hansi jati hai
miltī muddat meñ hai aur pal meñ hañsī jaatī hai
zindagī yūñhī kaTī yūñhī kaTī jaatī hai
apnī chādar meñ use kheñch liyā lipTe rahe
chāñdnī yūñhī chhūī yūñhī chhūī jaatī hai
bhīgī āñkhoñ se kabhī bhīge laboñ se ho kar
shā.erī yūñhī bahī yūñhī bahī jaatī hai
ishq us se bhī kiyā tum se bhī kar lete haiñ
bandagī yūñhī huī yūñhī huī jaatī hai
aap kī yaad bhī bas aap ke hī jaisī hai
aa ga.ī yūñhī abhī yūñhī abhī jaatī hai
milti muddat mein hai aur pal mein hansi jati hai
zindagi yunhi kaTi yunhi kaTi jati hai
apni chadar mein use khench liya lipTe rahe
chandni yunhi chhui yunhi chhui jati hai
bhigi aankhon se kabhi bhige labon se ho kar
shaeri yunhi bahi yunhi bahi jati hai
ishq us se bhi kiya tum se bhi kar lete hain
bandagi yunhi hui yunhi hui jati hai
aap ki yaad bhi bas aap ke hi jaisi hai
aa gai yunhi abhi yunhi abhi jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.