mimbar-o-mehrab mein sab bujh gae rakkhe hue
mimbar-o-mehrāb meñ sab bujh ga.e rakkhe hue
ham jale haiñ ham ki jo the taaq pe rakkhe hue
rā.igānī se kahīñ baḌh ke hai ranj-e-bebasī
Dhal rahe haiñ ham hamāre sāmne rakkhe hue
us ne mujh ko chhoḌ kar bhī is liye chhoḌā na thā
kaam aa jaate haiñ ik din rābte rakkhe hue
der bas ik jumbish-e-hālāt hone kī huī
gir paḌe tasht-e-falak meñ hādse rakkhe hue
bārishoñ se dhul gayā hogā ruḳh-e-shab kā ġhubār
dikh rahe hoñge pahāḌoñ par diye rakkhe hue
bazm-e-yārāñ meñ hamārā zikr aate hī 'zahīr'
rah ga.e hoñge piyāle bin piye rakkhe hue
mimbar-o-mehrab mein sab bujh gae rakkhe hue
hum jale hain hum ki jo the taq pe rakkhe hue
raigani se kahin baDh ke hai ranj-e-bebasi
Dhal rahe hain hum hamare samne rakkhe hue
us ne mujh ko chhoD kar bhi is liye chhoDa na tha
kaam aa jate hain ek din rabte rakkhe hue
der bas ek jumbish-e-haalat hone ki hui
gir paDe tasht-e-falak mein hadse rakkhe hue
barishon se dhul gaya hoga ruKH-e-shab ka ghubar
dikh rahe honge pahaDon par diye rakkhe hue
bazm-e-yaran mein hamara zikr aate hi 'zahir'
rah gae honge piyale bin piye rakkhe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.