minnaten bar bar karta hun
minnateñ baar baar kartā huuñ
aap ko sharmsār kartā huuñ
terī rahmat kā kuchh hisāb nahīñ
apne isyāñ shumār kartā huuñ
maut aanī hai maut aa.egī
fikr kyoñ baar baar kartā huuñ
mere nāloñ kā kuchh asar hī nahīñ
jaise patthar se pyaar kartā huuñ
'josh' vo mere paas haiñ dekho
aur maiñ intizār kartā huuñ
minnaten bar bar karta hun
aap ko sharmsar karta hun
teri rahmat ka kuchh hisab nahin
apne isyan shumar karta hun
maut aani hai maut aaegi
fikr kyon bar bar karta hun
mere nalon ka kuchh asar hi nahin
jaise patthar se pyar karta hun
'josh' wo mere pas hain dekho
aur main intizar karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.