ab ke bhi sair-e-bagh ki ji mein hawas rahi
ab ke bhī sair-e-bāġh kī jī meñ havas rahī
apnī jagah bahār meñ kunj-e-qafas rahī
maiñ pā-shikasta jā na sakā qāfile talak
aatī agarche der sadā-e-jaras rahī
lutf-e-qabā-e-tañg pe gul kā bajā hai naaz
dekhī nahīñ hai un ne tirī cholī chas rahī
din-rāt merī āñkhoñ se aañsū chale ga.e
barsāt ab ke shahr meñ saare baras rahī
ḳhālī shaguftagī se jarāhat nahīñ koī
har zaḳhm yaañ hai jaise kalī ho box rahī
dīvāngī kahāñ ki garebāñ se tañg huuñ
gardan mirī hai tauq meñ goyā ki phañs rahī
joñ sub.h is chaman meñ na ham khul ke hañs sake
fursat rahī jo 'mīr' bhī so yak-nafas rahī
ab ke bhi sair-e-bagh ki ji mein hawas rahi
apni jagah bahaar mein kunj-e-qafas rahi
main pa-shikasta ja na saka qafile talak
aati agarche der sada-e-jaras rahi
lutf-e-qaba-e-tang pe gul ka baja hai naz
dekhi nahin hai un ne teri choli chas rahi
din-raat meri aankhon se aansu chale gae
barsat ab ke shahr mein sare baras rahi
KHali shaguftagi se jarahat nahin koi
har zaKHm yan hai jaise kali ho box rahi
diwangi kahan ki gareban se tang hun
gardan meri hai tauq mein goya ki phans rahi
jon subh is chaman mein na hum khul ke hans sake
fursat rahi jo 'mir' bhi so yak-nafas rahi
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0464
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.