Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

husul kaam ka dil-KHwah yan hua bhi hai

Meer Taqi Meer

husul kaam ka dil-KHwah yan hua bhi hai

Meer Taqi Meer

MORE BYMeer Taqi Meer

    husūl kaam dil-ḳhvāh yaañ huā bhī hai

    samājat itnī bhī sab se koī ḳhudā bhī hai

    muue jaate haiñ ham dard-e-ishq se yaaro

    kaso ke paas is āzār davā bhī hai

    udāsiyāñ thiiñ mirī ḳhānqa meñ qābil-e-sair

    sanam-kade meñ to Tik aa ke dil lagā bhī hai

    ye kahiye kyūñke ki ḳhūbāñ se kuchh nahīñ matlab

    lage jo phirte haiñ ham kuchh to mudda.ā bhī hai

    tirā hai vahm ki maiñ apne pairahan meñ huuñ

    nigāh ġhaur se kar mujh meñ kuchh rahā bhī hai

    jo kholūñ sīna-e-majrūh to namak chhiḌke

    jarāhat us ko dikhāne kuchh maza bhī hai

    kahāñ talak shab-o-roz āh-e-dard-e-dil kahiye

    har ek baat ko āḳhir kuchh intihā bhī hai

    havas to dil meñ hamāre jagah kare lekin

    kahīñ hujūm se andoh-e-ġham ke bhī hai

    ġham-e-firāq hai dumbāla-e-gard aish-e-visāl

    faqat maza nahīñ ishq meñ balā bhī hai

    qubūl kariye tirī rah meñ ko kho denā

    jo kuchh bhī pā.iye tujh ko to āshnā bhī hai

    jigar meñ sozan-e-mizhgāñ ke tiiñ kaDhab na gaḌo

    kaso ke zaḳhm ko ne kabhū siyā bhī hai

    guzār shahr-e-vafā meñ samajh ke kar majnūñ

    ki is dayār meñ 'mīr' shikasta-pā bhī hai

    husul kaam ka dil-KHwah yan hua bhi hai

    samajat itni bhi sab se koi KHuda bhi hai

    mue hi jate hain hum dard-e-ishq se yaro

    kaso ke pas is aazar ki dawa bhi hai

    udasiyan thin meri KHanqa mein qabil-e-sair

    sanam-kade mein to Tik aa ke dil laga bhi hai

    ye kahiye kyunke ki KHuban se kuchh nahin matlab

    lage jo phirte hain hum kuchh to muddaa bhi hai

    tera hai wahm ki main apne pairahan mein hun

    nigah ghaur se kar mujh mein kuchh raha bhi hai

    jo kholun sina-e-majruh to namak chhiDke

    jarahat us ko dikhane ka kuchh maza bhi hai

    kahan talak shab-o-roz aah-e-dard-e-dil kahiye

    har ek baat ko aaKHir kuchh intiha bhi hai

    hawas to dil mein hamare jagah kare lekin

    kahin hujum se andoh-e-gham ke ja bhi hai

    gham-e-firaq hai dumbaala-e-gard aish-e-visal

    faqat maza hi nahin ishq mein bala bhi hai

    qubul kariye teri rah mein ji ko kho dena

    jo kuchh bhi paiye tujh ko to aashna bhi hai

    jigar mein sozan-e-mizhgan ke tin kaDhab na gaDo

    kaso ke zaKHm ko tu ne kabhu siya bhi hai

    guzar shahr-e-wafa mein samajh ke kar majnun

    ki is dayar mein 'mir' shikasta-pa bhi hai

    Source :
    • Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0566
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now