jhumke dikha ke tur ko jin ne jala diya
jhumke dikhā ke tuur ko jin ne jalā diyā
aa.ī qayāmat un ne jo parda uThā diyā
us fitne ko jagā ke pashemāñ huī nasīm
kyā kyā 'azīz logoñ ko un ne sulā diyā
ab bhī dimāġh-e-rafta hamārā hai 'arsh par
go āsmāñ ne ḳhaak meñ ham ko milā diyā
jaanī na qadr us guhar shab charāġh kī
dil reza-e-ḳhazaf kī tarah maiñ uThā diyā
taqsīr jaan dene meñ ham ne kabhū na kī
jab teġh vo buland huī sar jhukā diyā
garmī charāġh kī sī nahīñ vo mizāj meñ
ab dil fasurdagī se huuñ jaise bujhā diyā
vo aag ho rahā hai ḳhudā jaane ġhair ne
merī taraf se us ke ta.iiñ kyā lagā diyā
itnā kahā thā farsh tirī rah ke ham hoñ kaash
so tū ne maar maar ke aa kar bichhā diyā
ab ghaTte ghaTte jaan meñ tāqat nahīñ rahī
Tak lag chalī sabā ki diyā sā baḌhā diyā
tangī lagā hai karne dam apnā bhī har ghaḌī
kuḌhne ne dil ke jī ko hamāre khapā diyā
kī chashm tū ne baaz ki kholā dar-e-sitam
kis mudda.ī ḳhalq ne tujh ko jagā diyā
kyā kyā ziyān 'mīr' ne khīñche haiñ 'ishq meñ
dil haath se diyā hai judā sar judā diyā
jhumke dikha ke tur ko jin ne jala diya
aai qayamat un ne jo parda uTha diya
us fitne ko jaga ke pasheman hui nasim
kya kya 'aziz logon ko un ne sula diya
ab bhi dimagh-e-rafta hamara hai 'arsh par
go aasman ne KHak mein hum ko mila diya
jaani na qadr us guhar shab charagh ki
dil reza-e-KHazaf ki tarah main uTha diya
taqsir jaan dene mein hum ne kabhu na ki
jab tegh wo buland hui sar jhuka diya
garmi charagh ki si nahin wo mizaj mein
ab dil fasurdagi se hun jaise bujha diya
wo aag ho raha hai KHuda jaane ghair ne
meri taraf se us ke tain kya laga diya
itna kaha tha farsh teri rah ke hum hon kash
so tu ne mar mar ke aa kar bichha diya
ab ghaTte ghaTte jaan mein taqat nahin rahi
Tak lag chali saba ki diya sa baDha diya
tangi laga hai karne dam apna bhi har ghaDi
kuDhne ne dil ke ji ko hamare khapa diya
ki chashm tu ne baz ki khola dar-e-sitam
kis muddai KHalq ne tujh ko jaga diya
kya kya ziyan 'mir' ne khinche hain 'ishq mein
dil hath se diya hai juda sar juda diya
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 2, Ghazal No- 0672
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.