kab talak ye sitam uThaiyega
kab talak ye sitam uThā.iyegā
ek din yūñhī jī se jā.iyegā
shakl tasvīr-e-be-ḳhudī kab tak
kaso din aap meñ bhī ā.iyegā
sab se mil chal ki hādse se phir
kahīñ DhūñDā bhī to na pā.iyegā
na muue ham asīrī meñ to nasīm
koī din aur baav khā.iyegā
kahiyegā us se qissa-e-majnūñ
yā'nī parde meñ ġham sunā.iyegā
us ke pā-bos kī tavaqqo' par
apne tiiñ ḳhaak meñ milā.iyegā
us ke paañv ko jā lagī hai hinā
ḳhuub se haath use lagā.iyegā
shirkat-e-shaiḳh-o-barhman se 'mīr'
ka.aba-o-dair se bhī jā.iyegā
apnī DeḌh iiñT kī jaddī masjid
kisī vīrāne meñ banā.iyegā
kab talak ye sitam uThaiyega
ek din yunhi ji se jaiyega
shakl taswir-e-be-KHudi kab tak
kaso din aap mein bhi aaiyega
sab se mil chal ki hadse se phir
kahin DhunDa bhi to na paiyega
na mue hum asiri mein to nasim
koi din aur baw khaiyega
kahiyega us se qissa-e-majnun
ya'ni parde mein gham sunaiyega
us ke pa-bos ki tawaqqo' par
apne tin KHak mein milaiyega
us ke panw ko ja lagi hai hina
KHub se hath use lagaiyega
shirkat-e-shaiKH-o-barhman se 'mir'
kaba-o-dair se bhi jaiyega
apni DeDh inT ki jaddi masjid
kisi virane mein banaiyega
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0098
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.