dair-o-haram se guzre ab dil hai ghar hamara
dair-o-haram se guzre ab dil hai ghar hamārā
hai ḳhatm us aable par sair-o-safar hamārā
palkoñ se terī ham ko kyā chashm-dāsht ye thī
un barchhiyoñ ne bāñTā bāham jigar hamārā
duniyā-o-dīñ kī jānib mailān ho to kahiye
kyā jāniye ki is bin dil hai kidhar hamārā
haiñ tere aa.ine kī timsāl ham na pūchho
is dasht meñ nahīñ hai paidā asar hamārā
joñ sub.h ab kahāñ hai tūl-e-suḳhan kī fursat
qissa hī koī dam ko hai muḳhtasar hamārā
kūche meñ us ke jā kar bantā nahīñ phir aanā
ḳhuun ek din giregā us ḳhaak par hamārā
hai tīra-roz apnā laḌkoñ kī dostī se
us din hī ko kahe thā aksar pidar hamārā
sailāb har taraf se ā.eñge bādiye meñ
joñ abr rote hogā jis dam guzar hamārā
nashv-o-numā hai apnī joñ gard-bād anokhī
bālīda ḳhaak rah se hai ye shajar hamārā
yuuñ duur se khaḌe ho kyā mo'atabar hai ronā
dāman se bāñdh dāman ai abr-e-tar hamārā
jab paas raat rahnā aatā hai yaad us kā
thamtā nahīñ hai ronā do dopahar hamārā
us kārvāñ-sarā meñ kyā 'mīr' baar kholeñ
yaañ kuuch lag rahā hai shām-o-sahar hamārā
dair-o-haram se guzre ab dil hai ghar hamara
hai KHatm us aable par sair-o-safar hamara
palkon se teri hum ko kya chashm-dasht ye thi
un barchhiyon ne banTa baham jigar hamara
duniya-o-din ki jaanib mailan ho to kahiye
kya jaaniye ki is bin dil hai kidhar hamara
hain tere aaine ki timsal hum na puchho
is dasht mein nahin hai paida asar hamara
jon subh ab kahan hai tul-e-suKHan ki fursat
qissa hi koi dam ko hai muKHtasar hamara
kuche mein us ke ja kar banta nahin phir aana
KHun ek din girega us KHak par hamara
hai tira-roz apna laDkon ki dosti se
us din hi ko kahe tha aksar pidar hamara
sailab har taraf se aaenge baadiye mein
jon abr rote hoga jis dam guzar hamara
nashw-o-numa hai apni jon gard-baad anokhi
baalida KHak rah se hai ye shajar hamara
yun dur se khaDe ho kya mo'atabar hai rona
daman se bandh daman ai abr-e-tar hamara
jab pas raat rahna aata hai yaad us ka
thamta nahin hai rona do dopahar hamara
us karwan-sara mein kya 'mir' bar kholen
yan kuch lag raha hai sham-o-sahar hamara
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0101
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.